Ram Ji Aaye Hain Aaye Hain Lyrics Bhajan

Daivya Bhakti

Lyrics - Ram Ji Aaye Hain Aaye Hain

7

राम जी आये हैं आये हैं राम जी आये हैं
कई युगों के बाद, लखन सिया के साथ, अवध के राजा आये हैं

मासों, वर्षों से भी ज़्यादा, राम ने वन में जीवन काटा
ख़त्म हुई अब सारी बाधा, भवन में आ गए अवध के राजा
देख के राम की सूरत प्यारी, खुश हैं अयोध्या के नर नारी
हो के मगन सब झूम रहे हैं, चरण प्रभु के चूम रहे हैं
हो रही नभ से, अब फूलों की वर्षा, देवों का मन आज हैं हर्षा

सज के अयोध्या स्वर्ग सी लागे, अवध पुरी के भाग्य हैं जागे
छा गई हैं हर घर खुशहाली, लोग मना रहे देखो दिवाली
राम प्रभु का कर के नज़ारा, इतरा रही है सरयू की धारा
खुशियों के आंसू नैनो से छलके, खुश हैं हनुमत राम से मिल के
हो रही सब की, अब हसरत पूरी, राम से मिल कर मिट गयी दूरी

आज जो मंदिर है बन पाया, इसके लिए अपनों को गंवाया
लाठी गोलियां कितनों ने खाई, कई भगतों ने जान गवाई
फिर भी संतो ने हिम्मत ना हारी, करते रहे प्रयास वो भारी
राम ने की फिर ऐसी माया, मंदिर के हक़ में फैसला आया
हो रही देखो अब प्राण प्रतिष्ठा, सब भगतों को थी जिसकी प्रतीक्षा

- - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - -
- - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - -

Ram ji aaye hain aaye hain ram ji aaye hain
Kai yugo ke baad, lakhan siya ke saath, avadh ke raja aaye hain

maaso, varsho se bhi zyada, ram ne van me jeevan kaata
khatam hui ab saari baadha, bhawan me aa gaye avadh ke raja
dekh ke ram ki soorat pyaari, khush hain ayodhya ke nar naari
ho ke magan sab jhoom rahe hain, charan prabhu ke choom rahe hain
ho rahi nabh se, ab phoolon ki varsha, devo ka mann aaj hai harsha

saj ke ayodhya swarg si lage,avadh puri ke bhagye hain jaage
chha gai hai har ghar khushhali, log mana rahe dekho diwali
ram prabhu ka kar ke nazara, itra rahi hai saryu ki dhara
khushiyon ke aansoo naino se chhalke, khush hain hanumat ram se mil ke
ho rahi sab ki, ab hasrat poori, ram se mil kar mit gayi doori

aaj jo mandir hai ban paaya, iske liye apno ko gawaya
laathi goliyaan kitno ne khai, kai bhagto ne jaan gawai
phir bhi santo ne himmat na haari, karte rahe prayas wo bhaari
ram ne ki phir aisi maya, mandir ke hak me faisla aaya
ho rahi dekho ab pran pratishtha, sab bhagto ko thi jiski pratiksha




Go to Home Page